Monday, May 25, 2015

Urdu ghazal, Kaif Bhopali

Kaun aayega yahaan koi na aaya hoga,
Mera darwaza hawaoun ney hilaya hoga

Dil-e-nadaan na dhadhak aye dil-e-naadan na dhadhak,
Koi khat ley kay padosi kay ghar aaya hoga

Is gulistaan ki yehi reet hai aye shakh-e-gul
Tuney jis phool ko paala woh paraya hoga.

"Kaif" pardes main mat yaad karo apna makaan,
Ab ki barish ney usey tod giraya hoga.


No comments:

Post a Comment